Posts

Home

Image
Ghar ki deewaron se, Deewaaron me padi un halki daraaron se, Mere kamre ki study table waale kone se, Raaton ko jaagne se leke din me sone se, Baba ki daant par halka sa rone se, Apne moje apne haatho se dhone se, Maa ke haanthon ke paraantho se, Mere pyaare bhai ke kharraathon se, Mohalle ke un doston se, Chachi ke banaye un yummy kofton se, Subah ki ek pyaali chaai se, Didi ki har baat pe di gayi raai se,  TV ke remote se, Remote cheente waqt lagi chot se, Meri kuch novels se, Bhai ki favourite towel se, Meri pasandida chaadar se, Ghar ke bagal waale church ke father se, Subah ka der tak alarm bajne se, Papa ka mujh pe garajne se, Raat ko sona behosh se, Subah khud ko paana kambal ke aaghosh me,  In sab se, ab door jaane ka waqt aaya, Mere kapdo ke bag ke alawa, maine yaadon ka ek suitcase apne saath paaya, Bachpan ki naav ab kinaare aayi, Hostel ki naav par chadhne ki, ab meri baari aayi, Bade hone ke us ehsaas ne, mere aansuon par qaabu paaya, Kuch is t

The one, I call best friend

Image
Khamosh ho jati hun, toh dil me utar jaata hai, Haqeeqat se darr jaati hun, toh dhaal meri ban jata hai, Kamzor na pad jaun main, isiliye, duniya se mujhe chipata hai, Koi hai, jo har pal mera saath nibhaata hai, Aankhen meri dekh ke, sab kuch jaan jaata hai,  Palko pe woh apni, mere khwaab sajata hai, Mushkilon me meri, chattan ki tarah khada ho jata hai, Koi hai, jo har pal mera saath nibhaata hai, Toofano se bhi, mere liye ulajh jaata hai, Hauslon ko mere bulandi woh de jata hai, Khayalon ko mere bade pyaar se sajata hai, Koi hai, jo har pal mera saath nibhata hai, Hansa kar mujhe, khud khush ho jata hai, Takleef na ho mujhe, isliye bahot si baatein mujhse chipata hai, Har lehze pe mere, naa jaane kyun deewana ho jata hai, Koi hai, jo har pal mera saath nibhaata hai, Naarazgi me meri, pyaar woh talaashta hai, Hasi ke peeche, woh dard mera pehchaan jata hai, Bikhre jazbaaton ko, khoobsurati se samet le jata hai, Koi hai, jo har pal mera saath nibhaata hai, Hawa k

Pinjra

Image
Ek kirdaar hai, jo rooh ke andarr chipa baitha hai, Ek raaz hai, dil me kahin dubbak kar baitha hai, Kuch ehsaas hai, darr ki janjeero ne jinhe jakad ke rakha hai, Kuch parindey hain, dimaag ne jinhe pakad ke rakah hai... Kuch zakhmi sa ho gaya hai dil,  Dard jiska, ab dard bhi nahi deta hai, Kuch toot si gayi hai rooh, Jhooti muskurahaton ka silsila, ab khatm bhi toh nahi hota hai, Kuch sookh se gaye hain ashq woh, Ab toh shiqaayton ne bhi dum tod diya hai.. Aksar, apni shaksiyat ko dunia se chipaate ho, Kyaa raaz hai, jo dil me dabate ho?? Apne toote hue dil se haar jaatey ho, Yaa koi aur bhi baat hai, jiske aagey majboor ho jaatey ho?? Apne har khwaab ko kyun dil me dabaate ho, Dunia hasegi, is baat se kyun katraatey ho?? Chehre ki khoobsurati pe kyun marr jaatey ho, Haseen dil hote hain, chehre nahi, is baat ko kyun nahi samajh paatey ho?? Dunia ke aagey, kyun cool ban jaatey ho, Tumhare andarr ek bacchha hai, har pal usko kyun chipaate ho? Nafrat ki aag me

The last goodbye!!

Image
Aaj pehli baar, mujhe woh chamak, woh khushi uske chehre pe nahi dikhi, jo mujhe dekhte hi hamesha aa jaati thi.... Kuch maayusi si thi, uske chehre par... Kuch paani sa tha, uski aankhon me... Mai samajh nahi paa rahi thi haalaat ko, Chote se dil me mere hadbadi si machi hui thi, Furteele kadam mere, jaise zameen ko kas ke pakad ke jam chuke the..... Hichkichate hue, kuch kadam maine aagey badhaaye.. Mere badhte hue kadmo ko dekh kar, kuch woh bhi aagey aaya Dekh paa rahi thi, uski hairaan pareshaan soorat ko, Dekhna chahti thi, uske gol frame ke peeche uski aankho ko, Kuch paani sa tha, kuch khaali sa tha.... Saansein upar neeche hone lagi meri, Kaise na poochti, ab khatre me thi yaari hamari,         ''Kahan... kidhar jaa rahe ho''?? Waise toh nazre na churaai thi usne mujhse kabhi, par us roz mujhse aankhen milaane me use thodi mushkil si ho rahi thi.... Apne pairo par apni nazre gadaaye, woh khada raha...... Haklaate hue jawaab aaya,    

Photograph

Image
Waise toh meri balcony ke upar bani chhat ki wajah se baarish ko mujhe bhigaane me thodi mushkil ho rahi thi, par phir bhi kisi tarha raasta banaate hue, baarish ki halki halki bauchaar mujhe choone ki koshish kar rahi thi...... Mere ek haath me meri novel thi, aur doosre haath me chai ka cup tha.... Mai bachpan se hi kahaniyon ki badi shaukeen rahi hoon, Kahaniyon me saare kirdaaro ko samajhna aur fir us kahaani ko mehsoos kar ke padhna, yeh sab mere pagalpan ka hissa raha hai.... Toh bas meri chai khatam hui, aur us kitaab ke palat'te panno ke saath, uski movie jaise mere dimaag me chalne lagi...... Us kitaab me likhi choti se choti baat ko mai mehez padh nahi rahi thi,  Mai use dekh paa rahi thi, mehsoos kar paa rahi thi..... Maano jaise, mai us kitaab ke andar jaa chuki thi, aur us kitaab ke saare kirdaaro se mulakaat karte hue, kahaani ke bhanwar se guzarte hue, mai ab us kitaab ki aadhi raah tak aa chuki thi.... Aur phir achaanak se agla panna palat't

The Darkest corner

Image
Baith jaati hun paani ki lehero ke kinaare aksar kyunki mere andar ke shor ka samajhna ab har kisi ke bas ka rog nahi..... Us madmast mausam me jab ye lehre mere pairo ko choom kar laut jaati hain, tab ehsaas hota hai, ki shaayad ye mere dil ka haal sunna chahti hain... Mujhe aksar apne dil ki baatein bayan karne ki zarurat nahi hai unke saamne... Woh khud-ba-khud mere bezubaan kahyaalo ko ek dhaage me piro ke rakh deti hain... Yeh lehere, ye dhalta hua sooraj, ye laal aasman, ye thandi hawa ke jhonke, aur mai.... bahut purani yaari hai hamari...   Woh lehre shaayad meri hum-dum hain, aur mai unki..... Janab, wo meri aankhon me kaid mere dard ko pehchaan leti hain.... Aur mai, mai bhi toh unka eklauata sahara hun... Is khudgarz dunia ki tarah, mai un lehro ke shor ka maza lene waha nahin jaati, mai jaati hun wahan us shor ko samajhne ke liye, us shor ki har aahat ko mehsoos karne ke liye... Hamari yaari me na kabhi usne mujhse kuch maanga, na maine usse.... Bas har roz ham

First Date

Image
Us subah woh bina ubaasi liye utha, shaayad pichli raat woh soya hi nahi tha, phir aankhen malte hue kuch do minute ke liye apne bistar ke sirhaane se tik jaata hai..... Kal raat woh soya nahi.... kyunki kal raat kisi ke khayalo ne use jagakar rakha tha....  Us ek text ne uski poori neend ujaad kar rakh di thi... Dil ki dhadkano ne toh jaise toofaan mel ki raftaar pakad li thi.. Aur ''dimaag'' , yeh bechaara toh ab kisi kaam ka nahi bacha tha,  Jo ladki uske khwaabo me aaya karti thi, kal raat, uske messages me aayi thi... aur aaj subah woh hakikat me use milne wali thi.. Kal raat aakhir is pagal se , bebaat muskuraane wale,kisi ko poori shiddat se chahne wale, apni dil ki baaton ko khud tak mehfooz rakhne wali is bholi si shaksiyat ne apni poori himmat bator ke apne khwaabo ki raani aur apni nayi nayi bani dost se millne ke liye ek darkhwaast laga hi di..... Is ummeed me ki shaayad kuch dino me, kuch baat toh ban hi jayegi... Kambhakt use kyaa pata tha, ki k