The Darkest corner

Baith jaati hun paani ki lehero ke kinaare aksar kyunki mere andar ke shor ka samajhna ab har kisi ke bas ka rog nahi.....
Us madmast mausam me jab ye lehre mere pairo ko choom kar laut jaati hain, tab ehsaas hota hai, ki shaayad ye mere dil ka haal sunna chahti hain...
Mujhe aksar apne dil ki baatein bayan karne ki zarurat nahi hai unke saamne...
Woh khud-ba-khud mere bezubaan kahyaalo ko ek dhaage me piro ke rakh deti hain...
Yeh lehere, ye dhalta hua sooraj, ye laal aasman, ye thandi hawa ke jhonke, aur mai.... bahut purani yaari hai hamari...  
Woh lehre shaayad meri hum-dum hain, aur mai unki.....
Janab, wo meri aankhon me kaid mere dard ko pehchaan leti hain....
Aur mai, mai bhi toh unka eklauata sahara hun...
Is khudgarz dunia ki tarah, mai un lehro ke shor ka maza lene waha nahin jaati, mai jaati hun wahan us shor ko samajhne ke liye, us shor ki har aahat ko mehsoos karne ke liye...
Hamari yaari me na kabhi usne mujhse kuch maanga, na maine usse....
Bas har roz hamari mulakaat zaroor hoti hai...
Is matlabi duniya ki hazaar buraiyaan mai karti hoon, aur woh bas shaant hokar mere kadmo ko choo kar haami bhar deti hai...
Mere hisse me kabhi khushiyaan toh rahi nahi, haan par mere saare gum unka jashn hum saath me zaroor manaate hain....
Toh bas, khayaalon ka samandar jab ufaan lene lagta hai, tab wahan chali jaati hun.....
Kisi roz jab mere beete hue kal ke panno ko galti se palat kar dekh leti hoon, toh toot jata hai mann mera...
Aur aakhir,'' mai hi kyun'' bas aise hi kuch sawaalo ki khoj me beet jaati hai shaam meri....
Jab koi rishta toot jata hai, toh choot jata hai naa??
Fir aakhir hum is khel me aise kaise kaid ho jaatey hain....
Zindagi ka ek arsaa aise kisi rishte ko khojne me beet jata hai, aur jab woh toot'ta hai, toh baaki ka arsaa un bikhri hui kuch yaadon ko sametne me beet jata hai.....
Maine ummeed karni chorr di hai logo se, toh aksar jab koi mere lie kuch karta hai, toh bada atpata sa lagta hai....
Mujhe bachpan se zyaada baat karna kabhi pasand nahi raha, haan par akele baith ke apne khayaalo ki gutthhii ko suljhaana aur kuch waqt khud ke sath bitana mujhe beyhadh pasand hai...
Bahot chune hue logo ko rakha hai maine apni zindagi me, taaki kam se kam jab mera janaaja aaye toh us par phool sajaane waale logo ki rooh mujhe dil se yaad karen....
Meri baate aksar logo ko samajh nahi aati, kyunki shaayad in baaton ko samajhne ke liye dil me dard ka hona shaayad thoda zaruri toh hai...
Na mai kisi ki hun, na koi mera hai...
Is khudgarz duniya me, mera rab hi mera basera hai....
Mai nahi deti logo ko unke kiye ki saza aur mai kyun dun, mai kaun hoon?
Yaad rakhti hun bas ye ek baat ki, waqt aur karma kisi ko nahi bakshta....
Toh jab koi rishto ki aadh lekar mujhpar vaar karta hai, toh bas muskura deti hun khaamoshi ke saath kyunki koi hai, jo sab dekh raha hai.....
Mujhe logo se zyaada bejaan cheeze pasand hain...
Aap unke saath jitna chahen waqt guzaar sakte hain.,
Unhe apne dil ke saare raaz bekhauf hokar bata sakte hain.....
Aur aapki saari baaten unke saath bilkul mehfooz hain....
Toh bas, bayan kar deti apne is shor ko kuch sannate me saja kar...... 




                                                                     -Priyanshi   

Comments

  1. Awesome lines... 👌👌👌

    ReplyDelete
  2. Replies
    1. thankyou so much :)
      liked it? Do not forget to share it with your frnds n loved ones...
      and also follow me, so that you don't miss any of my write ups :)

      Delete
  3. �� well done !! I'll say u took much effort to wrote these lines. ��

    ReplyDelete
    Replies
    1. yeah.. thanks a lot, please do not forget to share it with your friends.... :)

      Delete
  4. Hedat touching lines! Really u did great work.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

First Date

Pinjra