The one, I call best friend

Khamosh ho jati hun, toh dil me utar jaata hai,
Haqeeqat se darr jaati hun, toh dhaal meri ban jata hai,
Kamzor na pad jaun main, isiliye, duniya se mujhe chipata hai,
Koi hai, jo har pal mera saath nibhaata hai,
Aankhen meri dekh ke, sab kuch jaan jaata hai, 
Palko pe woh apni, mere khwaab sajata hai,
Mushkilon me meri, chattan ki tarah khada ho jata hai,
Koi hai, jo har pal mera saath nibhaata hai,
Toofano se bhi, mere liye ulajh jaata hai,
Hauslon ko mere bulandi woh de jata hai,
Khayalon ko mere bade pyaar se sajata hai,
Koi hai, jo har pal mera saath nibhata hai,
Hansa kar mujhe, khud khush ho jata hai,
Takleef na ho mujhe, isliye bahot si baatein mujhse chipata hai,
Har lehze pe mere, naa jaane kyun deewana ho jata hai,
Koi hai, jo har pal mera saath nibhaata hai,
Naarazgi me meri, pyaar woh talaashta hai,
Hasi ke peeche, woh dard mera pehchaan jata hai,
Bikhre jazbaaton ko, khoobsurati se samet le jata hai,
Koi hai, jo har pal mera saath nibhaata hai,
Hawa ki tarah, har rukh me mere saath utarta hai,
Paani ki tarah, kai dafa mere saath beh jata hai,
Dil ki gehraaiyon ko meri, woh apna ghar batata hai,
Koi hai, jo har pal mera saath nibhaata hai,
Kahani sa hai woh, meri aankhon me bas jata hai,
Lafzo ko mere, apni qaynaat batata hai,
Yun hi nahi, mere dil ka haal pehchaan jata hai,
Koi hai, jo har pal, mera saath nibhaata hai.........


                                                                        -Priyanshi Parmar



 
 
 
 

Comments

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

First Date

Pinjra

The Darkest corner