Photograph

Waise toh meri balcony ke upar bani chhat ki wajah se baarish ko mujhe bhigaane me thodi mushkil ho rahi thi, par phir bhi kisi tarha raasta banaate hue, baarish ki halki halki bauchaar mujhe choone ki koshish kar rahi thi......
Mere ek haath me meri novel thi, aur doosre haath me chai ka cup tha....
Mai bachpan se hi kahaniyon ki badi shaukeen rahi hoon,
Kahaniyon me saare kirdaaro ko samajhna aur fir us kahaani ko mehsoos kar ke padhna, yeh sab mere pagalpan ka hissa raha hai....
Toh bas meri chai khatam hui, aur us kitaab ke palat'te panno ke saath, uski movie jaise mere dimaag me chalne lagi......
Us kitaab me likhi choti se choti baat ko mai mehez padh nahi rahi thi, 
Mai use dekh paa rahi thi, mehsoos kar paa rahi thi.....
Maano jaise, mai us kitaab ke andar jaa chuki thi, aur us kitaab ke saare kirdaaro se mulakaat karte hue, kahaani ke bhanwar se guzarte hue, mai ab us kitaab ki aadhi raah tak aa chuki thi....
Aur phir achaanak se agla panna palat'te hi
Jaise meri ungliyaan wahi jam gayin....
Meri saansein wahin tham gayin....
Meri aankhein bas us ek panne par aa kar ruk gayi.....
Mera badan jaise pattharr ho gaya...
Do pal ko aisa laga, jaise kisi ne mujhe us kitaab ki dunia se bahar fenk dia ho,
Us ek panne ne jaise meri nazro ko qaid kar liya ho....
Meri zindagi ka woh lamha, jise maine kabhi jiya tha,
Haan bas us pal ka mol na samjhaa tha...
Woh ek pal ab ek tasveer ke libaas me mere saamne rakha tha.....
 Kam se kam aaj mere khaali haatho me woh lamha toh nahi tha, par woh tasveer jo us kitaab ke panno me jo dafan thi, aaj aakhir mujhse rubaru hogayi...
Jisme mai qareeb 5 yaa 6 saal ki thi, aur baba apni Army uniform me khade mujhe god me uthaye hue the....
Aur tab toh bacchhii thi na mai, ''Kal ho na ho'', in lafzo ke mol ko kahan samajhti thi ....
''Woh mere baba hain aur woh hamesha mere saath rahengey'' , mujhe toh bas itni khabar thi....
''Jo jeeta hai, woh ek din marta bhi hai'', zindagi ke is usool se mai nadaan kahan waaqif thi....
Baarish tez ho gayi, aur baadal garajne lage,
Aankhon se aansu, moti ki tarah barasne lage,
Haalat me nahi thi, muh se ek bhi lafz nikaalne ki, 
Himmat nahi thi, ab khud ko sambhaalne ki,
Aankhen meri jo us tasveer par tiki hui thi, khoon si laal ho gayin...
Haath mere us tasveer ko chookar kaanpne lage....
Yaad aane laga woh waada, jo reh gaya tha adhoora,
''Agli baar, jab mai aaunga, toh hum saath me mela ghumne jaayengey''....
''Meri gudiya'' keh kar god me jo khilaaya karte the, 
Socha nahi tha, is qadar chorr jaengey......
Yaad aane laga woh pal, 
Darwaaze par khadi karti reh gayi mai intezaar, 
Baba toh nahi aaye, bas unka janaaja , le kar aagye mere aangan me sipaahi chaar......
Us mausam ki chuppi ko, meri siskiyon ne tod dia.....
Us tasveer ko chookar, meri ungliyaan jaise pukaar rahi thi baba ko, aur dil mera jaise bilakh bilakh bula raha tha unko...
''Baba, chalo na mela chaltey hain''.....
''Suno na baba, chalo na mela chaltey hain''..........
                                                                                                                             -Priyanshi

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

First Date

Pinjra

The Darkest corner