Shattered pieces

  1. Ab college canteen me woh akele hi baith ti hai....Class me
    uske bagal wali desk ab aksar khali hi rehti hai...sagar ke kinare ab woh akele hi baith ti hai..  ret me uske pairo ke nishan... ab akele hi bante hain...  

Pani ki lehre aur dhalte sooraj ko ab wo akele hi dekhti hai.. 

Har woh jagah, jahan kabhi uske saath  jaya karti thi.. ab aksar wahan akele hi jaya karti hai... 

Uska yun saath chor dena... aur uski kuch kamiyon ko zariya bana ke uski zindagi se chale jana... 

Is sab ne beshak use , zindagi ke shuruati daur me kaafi takleef di thi.... par wakt ki daud me usne kaafi kuch seekh lia tha...

Raat bhar rona... aur fir subah ek pyari si muskurahat ke saath uthna bhi ek kala hai... aur ab woh is kala me shayad maharath hasil kar chuki thi... 

Badi hi khoobsurati ke saath.. apne aansuon ko chipana.. aur muskurana seekh lia tha.

apni un kamiyon ko ab apni taakat me tabdeel karna shuru kar dia tha..... 

Dard ne beshak use gher lia tha.. is sab ne beshak use tod dia tha, par shayad toot ke judne ka hi naam zindagi hai..

Bikhar ke dekho.. aur fir khud ko sameto.. zindagi ko dekhne ka ek alag hi nazariya mil jata hai....

Raat bhar roke.. subah ek halki muskurahat ke saath utho... par fir kabhi na rone ka khud se ek wada kro... 

Us ek insan ke lie bhi kyaa khoon jalana... jisne tumhe sirf tumhari kuch kamiyon ke chalte thukra dia. Beeta hua kal kiska nahi hota... par usse kuch seekho... chaho toh akele me thoda gumzada bhi ho lo, apni galtiyon par hass bhi lo.... par apne us beet chuke kal ko , apne aaj par fateh mat hasil karne do.. 

Kyunki yaad rakho,

 tum beete hue kal ko nahi badal sakte....par aane wala kal, aaj bhi tumhara gulaam hai...  

Isliye......

Muskurao, aur us insan ko tahe dil se shukriya karo.. jisne kabhi tumhe toda hai.. "uske tumhe chor dene ko ek tohfa samajh ke kubool karo".... aur jin kamiyon ke chaltey chora hai, unhi ko apni takat bana lo..... 

Taaki zindagi me, agar tum us insan se kabhi takrao, toh uske diye hue tohfe ke liye.. apne hi andaaz me use shukriya kar sako.

                                                              

                                                                                 - Priyanshi....

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

First Date

Pinjra

The Darkest corner